Friday, April 17, 2009

Of Music, Love and God


Jab gaaye raat me ambar se chandni
Toh raahi chalna tum bhi pashchim ki aur
Jahan nadiya me jagmagate hain dipak
Baansuri ke sang Kazi...Ishq me doobe Tagore
Kahin sitar ki tarang mein magan hai Mira
Kahin Brindavan ki chaaon me naache hai Kanahiya
Subah ki kirano ke sang koi pade Gurbani
Na woh hindu...na muslmaan...na sikh...na issai

Tablae ki dhunn mein khoye hue khwaab
Dhoond in plakon ke peeche soye hue raaz
Yeh surr nahi hain...hain yeh rooh ke khayal
Koi pukaare ishvar...toh koi pukare khuda
Koi dhoonde mandir...koi dhoonde dargah
Saadhu ka prabhu...Sufi ka Allah

Tu toh bas musafir hai yahan...
Hoton pe uske gun gungunata hi ja
Chalta hi ja...
Gaata hi ja...

No comments: